Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi

Zakauddin Shaya.n

hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi

Zakauddin Shaya.n

MORE BYZakauddin Shaya.n

    hare mausam khileñge sonā ban ke ḳhaak badlegī

    kahāñ tak ye zamīñ āḳhir na.ī poshāk badlegī

    hasīñ ma.asūm hoñToñ par mohabbat ke sabaq taaza

    kabhī to aadmī fitrat-e-chālāk badlegī

    ravāñ hai āb-o-ḳhūñ sar pattharoñ ko phoḌne diije

    nadī sailāb rau meñ ḳhas-o-ḳhāshāk badlegī

    salīqa zindagī vahshatoñ ko milne vaalā hai

    qabā us yaqīnan dāman-e-sad-chāk badlegī

    chhabaktī shabnamīñ āñkhoñ meñ najm-o-gul ke afsāne

    na.ī karvaT abhī shāyad hamārī ḳhaak badlegī

    dhule kapḌoñ pe dāġh-e-ḳhushbū rañg-e-zindagī raushan

    tirī qurbat se dil sar-zamīn-e-pāk badlegī

    hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi

    kahan tak ye zamin aaKHir nai poshak badlegi

    hasin masum honTon par mohabbat ke sabaq taza

    kabhi to aadmi ki fitrat-e-chaalak badlegi

    rawan hai aab-o-KHun sar pattharon ko phoDne dije

    nadi sailab ki rau mein KHas-o-KHashak badlegi

    saliqa zindagi ki wahshaton ko milne wala hai

    qaba us ki yaqinan daman-e-sad-chaak badlegi

    chhabakti shabnamin aankhon mein najm-o-gul ke afsane

    nai karwaT abhi shayad hamari KHak badlegi

    dhule kapDon pe dagh-e-KHushbu rang-e-zindagi raushan

    teri qurbat se dil ki sar-zamin-e-pak badlegi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 389)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now