Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna

Zafar Sahbai

hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna

Zafar Sahbai

MORE BYZafar Sahbai

    hare patto sunahrī dhuup qurbat meñ ḳhush rahnā

    magar mumkin nahīñ hai ek hālat meñ ḳhush rahnā

    magan rahte haiñ ye būḌhe shajar apnī kathāoñ meñ

    unheñ aatā hai apne zehn jannat meñ ḳhush rahnā

    ham insānoñ ko phir jiine maqsad nahīñ miltā

    likhā hotā jo us ne sab qismat meñ ḳhush rahnā

    ye aañsū chaar din ke haiñ ye aañsū suukh jā.eñge

    sikhā deñge tumheñ hālāt har sūrat meñ ḳhush rahnā

    maiñ apne zaḳhm aksar is liye bhī noch letā huuñ

    kahīñ shāmil na ho jaa.e mirī aadat meñ ḳhush rahnā

    sukūn-e-dil gañvā baiThoge tum fitrat se laḌne meñ

    jo chāho āfiyat apne qad-o-qāmat meñ ḳhush rahnā

    pukārā 'umr ko ḳhushiyoñ ne jab masrūf the behad

    samay se siikh lete kaash ham fursat meñ ḳhush rahnā

    hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna

    magar mumkin nahin hai ek si haalat mein KHush rahna

    magan rahte hain ye buDhe shajar apni kathaon mein

    unhen aata hai apne zehn ki jannat mein KHush rahna

    hum insanon ko phir jine ka maqsad hi nahin milta

    likha hota jo us ne sab ki hi qismat mein KHush rahna

    ye aansu chaar din ke hain ye aansu sukh jaenge

    sikha denge tumhein haalat har surat mein KHush rahna

    main apne zaKHm aksar is liye bhi noch leta hun

    kahin shamil na ho jae meri aadat mein KHush rahna

    sukun-e-dil ganwa baiThoge tum fitrat se laDne mein

    jo chaho aafiyat apne qad-o-qamat mein KHush rahna

    pukara 'umr ko KHushiyon ne jab masruf the behad

    samay se sikh lete kash hum fursat mein KHush rahna

    Source:

    aatish zer pa (Pg. 39)

    • Author: aatish zer pa
      • Edition: 2009
      • Publisher: zafar sehbai Bhopal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now