Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai

Ishrat moin Seemaa

harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai

Ishrat moin Seemaa

MORE BYIshrat moin Seemaa

    harf-e-ehsās tashkīl kahāñ mumkin hai

    mire jazbāt tarsīl kahāñ mumkin hai

    pahle ik arz-e-tamannā ye bichhe jaate haiñ

    ab mire hukm ta.amīl kahāñ mumkin hai

    tire hote hue mahfil meñ charāġhāñ kyoñ kar

    mahr-e-tābāñ ko ye qindīl kahāñ mumkin hai

    yād-e-rafta ḳhazāna mujhe bhārī hai bahut

    hāfize na.ī zambīl kahāñ mumkin hai

    shāz-o-nādir tamannā.eñ javāñ hotī haiñ

    har ghaḌī nafs tahlīl kahāñ mumkin hai

    sochtī rahtī haiñ shab bhar vo sitāra āñkheñ

    ḳhvāb-e-girya vo takmīl kahāñ mumkin hai

    harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai

    mere jazbaat ki tarsil kahan mumkin hai

    pahle ek arz-e-tamanna ye bichhe jate hain

    ab mere hukm ki tamil kahan mumkin hai

    tere hote hue mahfil mein charaghan kyon kar

    mahr-e-taban ko ye qindil kahan mumkin hai

    yaad-e-rafta ka KHazana mujhe bhaari hai bahut

    hafize ki nai zambil kahan mumkin hai

    shaz-o-nadir hi tamannaen jawan hoti hain

    har ghaDi nafs ki tahlil kahan mumkin hai

    sochti rahti hain shab bhar wo sitara aankhen

    KHwab-e-girya ki wo takmil kahan mumkin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now