harf-harf chamka kar lafz-lafz mahka kar
harf-harf chamkā kar lafz-lafz mahkā kar
jab kisī se bolā kar muskurā ke bolā kar
le ke husn kī daulat raat ko na niklā kar
dil-jaloñ kī bastī hai kuchh to ḳhauf rakkhā kar
shaiḳh ho barahman ho sant ho qalandar ho
sab ḳhudā ke bande haiñ sab kā maan rakkhā kar
lafz lafz se kaise raushnī nikaltī hai
shā'iroñ meñ baiThā kar ye kamāl dekhā kar
maiñ ne kuchh faqīroñ kī jūtiyāñ uThā.ī haiñ
ai amīr-e-shahr ab to mere haath chuum aa kar
roz to nahīñ aate chāhatoñ ke ye mausam
jab koī ghaTā barse thoḌā bhiig jaayā kar
sādgī zarūrī hai thoḌī sī mohabbat meñ
thoḌā ehtiyātan bhī chhup-chhupā ke dekhā kar
harf-harf chamka kar lafz-lafz mahka kar
jab kisi se bola kar muskura ke bola kar
le ke husn ki daulat raat ko na nikla kar
dil-jalon ki basti hai kuchh to KHauf rakkha kar
shaiKH ho barahman ho sant ho qalandar ho
sab KHuda ke bande hain sab ka man rakkha kar
lafz lafz se kaise raushni nikalti hai
sha'iron mein baiTha kar ye kamal dekha kar
main ne kuchh faqiron ki jutiyan uThai hain
ai amir-e-shahr ab to mere hath chum aa kar
roz to nahin aate chahaton ke ye mausam
jab koi ghaTa barse thoDa bhig jaya kar
sadgi zaruri hai thoDi si mohabbat mein
thoDa ehtiyatan bhi chhup-chhupa ke dekha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.