aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf ko daftar-e-yamin pe rakh

Syed Mohammad Baqar

harf ko daftar-e-yamin pe rakh

Syed Mohammad Baqar

MORE BYSyed Mohammad Baqar

    harf ko daftar-e-yamīn pe rakh

    raaz ko mauja-e-amīn pe rakh

    chhū nazar se makāñ mashiyyat

    sar ko jaltī huī zamīn pe rakh

    apne ḳhud-sāḳhta ḳhayāloñ

    barf ko sho.ala-e-yaqīn pe rakh

    khol izn-e-ḳhurūj parcham

    ḳhuun daaġh āstīn pe rakh

    ḳhuud Dhaal se kahīñ behtar

    zaḳhm talvār jabīn pe rakh

    khīñch rahvār-e-tishnagī inaañ

    saarā jāh-o-jalāl ziin pe rakh

    vo diloñ zabāñ samajhte haiñ

    apnī bechārgī ko scene pe rakh

    harf ko daftar-e-yamin pe rakh

    raaz ko mauja-e-amin pe rakh

    chhu nazar se makan mashiyyat ka

    sar ko jalti hui zamin pe rakh

    apne KHud-saKHta KHayalon ki

    barf ko shoala-e-yaqin pe rakh

    khol izn-e-KHuruj ka parcham

    KHun ka dagh aastin pe rakh

    KHud ki Dhaal se kahin behtar

    zaKHm talwar ka jabin pe rakh

    khinch rahwar-e-tishnagi ki inan

    sara jah-o-jalal zin pe rakh

    wo dilon ki zaban samajhte hain

    apni bechaargi ko scene pe rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now