Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya

Yawar Warsi

harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya

Yawar Warsi

MORE BYYawar Warsi

    harf sū-e-lab-e-iz.hār nikal aaya

    ḳhāna-e-qaid se ayyār nikal aaya

    dastakoñ meñ vahī andāz thā vaqfa thā vahī

    halqa-e-dard se bīmār nikal aaya

    pūchhne aaya hai vo āḳhirī ḳhvāhish merī

    āḳhirash mauqa-e-iz.hār nikal aaya

    tang thā lamha-e-ishrat rajaz-ḳhvānī se

    ġham sañbhāle hue talvār nikal aaya

    raḳhna-andāz huī shorish-e-zanjīr bahut

    phir bhī maiñ toḌ ke dīvār nikal aaya

    sochte nahīñ arbāb-e-junūñ is ke sivā

    zikr-e-la.al-e-lab-o-ruḳhsār nikal aaya

    maiñ na kahtā thā ki ho jā.eñgī āñkheñ patthar

    aa.ina jānib-e-bāzār nikal aaya

    shāḳh-e-gul tak thī ba-zāhir to koī rok na Tok

    baḌh ga.e haath to ik ḳhaar nikal aaya

    harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya

    KHana-e-qaid se ayyar nikal hi aaya

    dastakon mein wahi andaz tha waqfa tha wahi

    halqa-e-dard se bimar nikal hi aaya

    puchhne aaya hai wo aaKHiri KHwahish meri

    aaKHirash mauqa-e-izhaar nikal hi aaya

    tang tha lamha-e-ishrat ki rajaz-KHwani se

    gham sanbhaale hue talwar nikal hi aaya

    raKHna-andaz hui shorish-e-zanjir bahut

    phir bhi main toD ke diwar nikal hi aaya

    sochte hi nahin arbab-e-junun is ke siwa

    zikr-e-lal-e-lab-o-ruKHsar nikal hi aaya

    main na kahta tha ki ho jaengi aankhen patthar

    aaina jaanib-e-bazar nikal hi aaya

    shaKH-e-gul tak thi ba-zahir to koi rok na Tok

    baDh gae hath to ek KHar nikal hi aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now