aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka

Ashraf Ali Fughan

hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka

Ashraf Ali Fughan

MORE BYAshraf Ali Fughan

    hargiz mirā vahshī na huā raam kisī

    vo sub.h ko hai yaar mirā shaam kisī

    is hasti-e-mauhūm meñ hargiz na khulī chashm

    mālūm kisī ko nahīñ anjām kisī

    itnā koī kah de ki mirā yaar kahāñ hai

    billāh maiñ lene nahīñ naam kisī

    hone de mirā chaak garebāñ mire nāseh

    nikle mire hāthoñ se bhalā kaam kisī

    nāhaq ko 'fuġhāñ' ke ta.iiñ tash.hīr kiyā hai

    duniyā meñ na hove koī badnām kisī

    hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka

    wo subh ko hai yar mera sham kisi ka

    is hasti-e-mauhum mein hargiz na khuli chashm

    malum kisi ko nahin anjam kisi ka

    itna koi kah de ki mera yar kahan hai

    billah main lene ka nahin nam kisi ka

    hone de mera chaak gareban mere naseh

    nikle mere hathon se bhala kaam kisi ka

    nahaq ko 'fughan' ke tain tashhir kiya hai

    duniya mein na howe koi badnam kisi ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now