Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski

Ragib Shakeb

harim-e-dil mein utarti hain aayaten uski

Ragib Shakeb

MORE BYRagib Shakeb

    harīm-e-dil meñ utartī haiñ āyateñ us

    lahū bhī karne lagā hai tilāvateñ us

    qarīb thā to rag-e-jāñ se bhī qarīb rahā

    bichhaḌ ke tā-ba-falak haiñ masāfateñ us

    huī hai shāḳh-e-dil-o-jāñ pe ḳhvāhishoñ numū

    lahū ke phuul khilā.eñgī qurbateñ us

    isī umiid pe ḳhvāboñ fasl boī hai

    ki kisht-e-dil meñ ugeñgī bashārateñ us

    ḳhayāl rañg huā chāñdnī shafaq ḳhushbū

    hazār rañg meñ dekhūñ maiñ sūrateñ us

    numū-pazīr huuñ mujh ko na chhoḌ ai dhartī

    mirī jaḌoñ ko abhī haiñ zarūrateñ us

    lahū to jam gayā āñkhoñ putliyoñ meñ 'shakeb'

    dikhā.eñ aks bhalā kyā basārteñ us

    harim-e-dil mein utarti hain aayaten us ki

    lahu bhi karne laga hai tilawaten us ki

    qarib tha to rag-e-jaan se bhi qarib raha

    bichhaD ke ta-ba-falak hain masafaten us ki

    hui hai shaKH-e-dil-o-jaan pe KHwahishon ki numu

    lahu ke phul khilaengi qurbaten us ki

    isi umid pe KHwabon ki fasl boi hai

    ki kisht-e-dil mein ugengi bashaaraten us ki

    KHayal rang hua chandni shafaq KHushbu

    hazar rang mein dekhun main suraten us ki

    numu-pazir hun mujh ko na chhoD ai dharti

    meri jaDon ko abhi hain zaruraten us ki

    lahu to jam gaya aankhon ki putliyon mein 'shakeb'

    dikhaen aks bhala kya basarten us ki

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 470)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now