Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harim-e-dil se ya arsh-e-barin se

Abdussalam Nadvi

harim-e-dil se ya arsh-e-barin se

Abdussalam Nadvi

MORE BYAbdussalam Nadvi

    harīm-e-dil se arsh-e-barīñ se

    tumheñ ham DhūñD lā.eñge kahīñ se

    huā marne pe āġhāz-e-mohabbat

    shurūa hotā hai ye qissa yahīñ se

    bujhe dil charāġh ai sham.a-rū aaj

    jalā de apne rū-e-ātishīñ se

    jo us justujū meñ ghar se nikle

    to ḳhud kho.e ga.e duniyā-o-dīñ se

    mirī taqdīr aisī chāñdnī meñ

    jo chamkegī to tum mah-jabīñ se

    sadā us baam tak ab bhī na pahuñchī

    pukār aa.e use arsh-e-barīñ se

    falak se pahle kūche meñ un ke

    nipaT lenā paḌā ham ko zamīñ se

    chhupe chorī jo kuchh kartā hai zāhid

    khulā raaz us us parda-nashīñ se

    tirī añgḌā.iyāñ kahtī haiñ mujh se

    tujhe kuchh milne vaalā hai kahīñ se

    harim-e-dil se ya arsh-e-barin se

    tumhein hum DhunD laenge kahin se

    hua marne pe aaghaz-e-mohabbat

    shurua hota hai ye qissa yahin se

    bujhe dil ka charagh ai shama-ru aaj

    jala de apne ru-e-atishin se

    jo us ki justuju mein ghar se nikle

    to KHud khoe gae duniya-o-din se

    meri taqdir aisi chandni mein

    jo chamkegi to tum si mah-jabin se

    sada us baam tak ab bhi na pahunchi

    pukar aae use arsh-e-barin se

    falak se pahle hi kuche mein un ke

    nipaT lena paDa hum ko zamin se

    chhupe chori jo kuchh karta hai zahid

    khula raaz us ka us parda-nashin se

    teri angDaiyan kahti hain mujh se

    tujhe kuchh milne wala hai kahin se

    Source:

    Shair (Pg. 28)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now