Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harim-e-naz hai aur ek rind-e-mai-KHana

Syed Siddiq Hasan

harim-e-naz hai aur ek rind-e-mai-KHana

Syed Siddiq Hasan

MORE BYSyed Siddiq Hasan

    harīm-e-nāz hai aur ek rind-e-mai-ḳhāna

    dar-e-qubūl hai aur laġhzishoñ nazrāna

    ye faiz tere karam hai pīr-e-mai-ḳhāna

    ki har maqām se guzrā huuñ be-niyāzāna

    ḳhirad pe naaz yaqīn-o-amal se begāna

    naqīb-e-vahm-o-gumāñ rahbarān-e-farzāna

    zabān-e-shauq pe aa.egā dil afsāna

    kaheñge un se hikāyāt-e-gesū-o-shāna

    mizha pe aa.e na betāb dil afsāna

    chhalak na jaa.e kahīñ chashm-e-tar paimāna

    parā.e ġham se rahūñ kis tarah maiñ begāna

    na mohtasib huuñ na mullā na pīr-e-mai-ḳhāna

    hadeñ haram banā leñ janāb-e-shaiḳh magar

    banā.ī jā.eñgī kaise hudūd-e-mai-ḳhāna

    tumhārī bazm se apnī vafā manzil tak

    milā na raah meñ apnā na koī begāna

    hamārā naam liyā rahā hai jaam ke saath

    badal gayā hai yaqīnan nizām-e-mai-ḳhāna

    nigār-ḳhāna-e-dil aur tavahhumāt aks

    banā liyā hai haqīqat ko ham ne afsāna

    harim-e-naz hai aur ek rind-e-mai-KHana

    dar-e-qubul hai aur laghzishon ka nazrana

    ye faiz tere karam ka hai pir-e-mai-KHana

    ki har maqam se guzra hun be-niyazana

    KHirad pe naz yaqin-o-amal se begana

    naqib-e-wahm-o-guman rahbaran-e-farzana

    zaban-e-shauq pe aaega dil ka afsana

    kahenge un se hikayat-e-gesu-o-shana

    mizha pe aae na betab dil ka afsana

    chhalak na jae kahin chashm-e-tar ka paimana

    parae gham se rahun kis tarah main begana

    na mohtasib hun na mulla na pir-e-mai-KHana

    haden haram ki bana len janab-e-shaiKH magar

    banai jaengi kaise hudud-e-mai-KHana

    tumhaari bazm se apni wafa ki manzil tak

    mila na rah mein apna na koi begana

    hamara nam liya ja raha hai jam ke sath

    badal gaya hai yaqinan nizam-e-mai-KHana

    nigar-KHana-e-dil aur tawahhumat ka aks

    bana liya hai haqiqat ko hum ne afsana

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now