Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai

Fana bulandshahri

harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    harīm-e-shāh meñ dekhī na ḳhānqāh meñ hai

    jo shān-e-banda-navāzī tirī nigāh meñ hai

    nigāh jab se tire husn panāh meñ hai

    har ik maqām-e-mohabbat mirī nigāh meñ hai

    ye but-kade ye haram jis jalva-gāh meñ hai

    vo mere saath azal se junūñ raah meñ hai

    ye un dar hai yahāñ sar uThā ke kaun chale

    yahāñ pe sar nahīñ dil bhī sajda-gāh meñ hai

    merī jabīñ taraf jhuk rahe haiñ kaun-o-makāñ

    ye kis naqsh-e-qadam aaj sajda-gāh meñ hai

    tire karam ne jo rutba atā kiyā hai mujhe

    ye martaba na gadā meñ na bādshāh meñ hai

    na aayā hosh use jis pe paḌ ga.ī ik baar

    ye kaisī mastī na jaane tirī nigāh meñ hai

    tire itaab se ye raaz khul gayā hai sanam

    tirā karam bhī yahāñ parda-e-gunāh meñ hai

    tire jamāl sadqa hai ai mire jānāñ

    ye raushnī bhī abhī tak jo mehr-o-māh meñ hai

    gunāhgār-e-mohabbat pe ye atā terī

    tire karam tajallī mire gunāh meñ hai

    batā rahī hai 'fanā' shān-e-be-niyāzāna

    adā-e-ishq bhī kuchh husn-e-kaj-kulāh meñ hai

    harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai

    jo shan-e-banda-nawazi teri nigah mein hai

    nigah jab se tere husn ki panah mein hai

    har ek maqam-e-mohabbat meri nigah mein hai

    ye but-kade ye haram jis ki jalwa-gah mein hai

    wo mere sath azal se junun ki rah mein hai

    ye un ka dar hai yahan sar uTha ke kaun chale

    yahan pe sar hi nahin dil bhi sajda-gah mein hai

    meri jabin ki taraf jhuk rahe hain kaun-o-makan

    ye kis ka naqsh-e-qadam aaj sajda-gah mein hai

    tere karam ne jo rutba ata kiya hai mujhe

    ye martaba na gada mein na baadshah mein hai

    na aaya hosh use jis pe paD gai ek bar

    ye kaisi masti na jaane teri nigah mein hai

    tere itab se ye raaz khul gaya hai sanam

    tera karam bhi yahan parda-e-gunah mein hai

    tere jamal ka sadqa hai ai mere jaanan

    ye raushni bhi abhi tak jo mehr-o-mah mein hai

    gunahgar-e-mohabbat pe ye ata teri

    tere karam ki tajalli mere gunah mein hai

    bata rahi hai 'fana' shan-e-be-niyazana

    ada-e-ishq bhi kuchh husn-e-kaj-kulah mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now