Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe

Syed Naseer Shah

hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe

Syed Naseer Shah

MORE BYSyed Naseer Shah

    hasb-e-farmān-e-amīr-e-qāfila chalte rahe

    pā-ba-jaulāñ dīda-o-lab-doḳhta chalte rahe

    be-basīrat manzileñ gard-e-safar hotī rahīñ

    aur ham be-maqsad-o-be-mudda.ā chalte rahe

    fasl-e-gul chaap thī is tab-e-nāzuk par girāñ

    thā safar ḳhushbū ġhunche be-sadā chalte rahe

    kājalī rātoñ meñ sūraj ke havāle so ga.e

    iqtibās apne lahū se le liyā chalte rahe

    sū-e-manzil piiTh thī āvārgī jaarī rahī

    fāsla har gaam par baḌhtā rahā chalte rahe

    jab ye dekhā pairahan taar tak baaqī nahīñ

    kar ke zeb-e-jism zaḳhmoñ qabā chalte rahe

    aap kyā ham ḳhud bhī sun paa.e na dil dhaḌkaneñ

    apne siine par qadam rakh kar sadā chalte rahe

    hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe

    pa-ba-jaulan dida-o-lab-doKHta chalte rahe

    be-basirat manzilen gard-e-safar hoti rahin

    aur hum be-maqsad-o-be-muddaa chalte rahe

    fasl-e-gul ki chap thi is tab-e-nazuk par giran

    tha safar KHushbu ka ghunche be-sada chalte rahe

    kajali raaton mein suraj ke hawale so gae

    iqtibas apne lahu se le liya chalte rahe

    su-e-manzil piTh thi aawargi jari rahi

    fasla har gam par baDhta raha chalte rahe

    jab ye dekha pairahan ka tar tak baqi nahin

    kar ke zeb-e-jism zaKHmon ki qaba chalte rahe

    aap kya hum KHud bhi sun pae na dil ki dhaDkanen

    apne sine par qadam rakh kar sada chalte rahe

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 446)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now