Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak

Danish Farahi

hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak

Danish Farahi

MORE BYDanish Farahi

    hashr ik guzrā hai vīrāne pe ghar hone tak

    jaane kyā biitī hai daane pe shajar hone tak

    hijr shab ye mire soz-e-darūñ aalam

    jal ke maiñ ḳhaak na ho jā.ūñ sahar hone tak

    ahl-e-dil rahte haiñ tā-zīst vafā ke pāband

    sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hone tak

    be-qarārī ye aalam hai sar-e-shām jab

    dekheñ kyā hotā hai is dil sahar hone tak

    dekheñge hashr jafāoñ ham un 'dānish'

    rah ga.e zinda jo aahoñ ke asar hone tak

    hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak

    jaane kya biti hai dane pe shajar hone tak

    hijr ki shab ye mere soz-e-darun ka aalam

    jal ke main KHak na ho jaun sahar hone tak

    ahl-e-dil rahte hain ta-zist wafa ke paband

    shama har rang mein jalti hai sahar hone tak

    be-qarari ka ye aalam hai sar-e-sham hi jab

    dekhen kya hota hai is dil ka sahar hone tak

    dekhenge hashr jafaon ka hum un ki 'danish'

    rah gae zinda jo aahon ke asar hone tak

    Source:

    Danish Kada (Pg. 43)

    • Author: Danish Farahi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now