hasin jhilmilate hue zar ki surat
hasīñ jhilmilāte hue zar kī sūrat
vo hai vahshatoñ meñ gul-e-tar kī sūrat
usī kī galī hai dar-o-bām us ke
bhulā dī mujhe hī mire ghar kī sūrat
junūñ ḳhāk-o-ḳhūñ aur pareshān gesū
na pūchho hai kaisī mire sar kī sūrat
maiñ thā apnī parvāz par ḳhuub nāzāñ
shikārī ne kar dī hai kyā par kī sūrat
ho jā.egī har shāḳh-e-gul tinkā tinkā
'valīd' ab ye kahtī hai sarsar kī sūrat
hasin jhilmilate hue zar ki surat
wo hai wahshaton mein gul-e-tar ki surat
usi ki gali hai dar-o-baam us ke
bhula di mujhe hi mere ghar ki surat
junun KHak-o-KHun aur pareshan gesu
na puchho hai kaisi mere sar ki surat
main tha apni parwaz par KHub nazan
shikari ne kar di hai kya par ki surat
ho jaegi har shaKH-e-gul tinka tinka
'walid' ab ye kahti hai sarsar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.