hasrat-gah-e-zillat mein utarne se raha main
hasrat-gah-e-zillat meñ utarne se rahā maiñ
ye kār-e-havas hai to ye karne se rahā maiñ
ai vahshat-e-sahrā mire qadmoñ se lipaT jā
ab is se ziyāda to bikharne se rahā maiñ
mujh se na ulajh girya-e-girdāb-e-tah-e-āb
is baar jo Duubā to ubharne se rahā maiñ
ik chādar-e-mahtāb hai ik ḳhvāb hai tum ho
is 'ālam-e-ḳhūbī meñ sañvarne se rahā maiñ
hasrat-gah-e-zillat mein utarne se raha main
ye kar-e-hawas hai to ye karne se raha main
ai wahshat-e-sahra mere qadmon se lipaT ja
ab is se ziyaada to bikharne se raha main
mujh se na ulajh girya-e-girdab-e-tah-e-ab
is bar jo Duba to ubharne se raha main
ek chadar-e-mahtab hai ek KHwab hai tum ho
is 'alam-e-KHubi mein sanwarne se raha main
- Book : Ishq (Pg. 74)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.