Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasraten jalne ki KHugar ho gain

Aleem Saba Navedi

hasraten jalne ki KHugar ho gain

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    hasrateñ jalne ḳhūgar ho ga.iiñ

    daaġh samteñ munavvar ho ga.iiñ

    yuuñ huā hai tere va.adoñ zavāl

    qurbateñ majrūh jauhar ho ga.iiñ

    sabz tūfānī havāoñ julūs

    Tahniyāñ be-kaif manzar ho ga.iiñ

    qatra qatra āsmānī ho gayā

    saarī nadiyāñ jab samundar ho ga.iiñ

    sirf le de ke jo apne paas thiiñ

    vo nigāheñ un naukar ho ga.iiñ

    haath meñ ā.īna le kar āj-kal

    jur.ateñ sab sikandar ho ga.iiñ

    nek-nāmī aur an-miT shohrateñ

    ab 'navedī' muqaddar ho ga.iiñ

    hasraten jalne ki KHugar ho gain

    dagh ki samten munawwar ho gain

    yun hua hai tere wadon ka zawal

    qurbaten majruh jauhar ho gain

    sabz tufani hawaon ka julus

    Tahniyan be-kaif manzar ho gain

    qatra qatra aasmani ho gaya

    sari nadiyan jab samundar ho gain

    sirf le de ke jo apne pas thin

    wo nigahen un ki naukar ho gain

    hath mein aaina le kar aaj-kal

    juraten sab ki sikandar ho gain

    nek-nami aur an-miT shohraten

    ab 'nawedi' ka muqaddar ho gain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now