Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah

Musavvir Sabzwari

hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    hasrateñ rotī raheñ dil meñ mujāvir tarah

    dil magar chup rahā lauh-e-maqābir tarah

    ḳhushk pattoñ tarah chhuT ga.e yārān-e-kuhan

    phir na palTe kabhī patjhaḌ ke musāfir tarah

    aa tirī maañg meñ kuchh ashk pirotā jā.ūñ

    maiñ to har chhāñv se guzruñgā muhājir tarah

    maiñ huuñ ik naqsh-e-qadam dasht-e-farāmoshī

    bhuul jāoge mujhe tum bhī musāfir tarah

    chāragar duur na jaanā kahīñ Dartā hai

    aaj raat hai gahrī shab-e-āḳhir tarah

    dushman-e-mehr-o-vafā se koī kartā hai nibāh

    kaun chāhegā tujhe tere 'musavvir' tarah

    hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah

    dil magar chup hi raha lauh-e-maqabir ki tarah

    KHushk patton ki tarah chhuT gae yaran-e-kuhan

    phir na palTe kabhi patjhaD ke musafir ki tarah

    aa teri mang mein kuchh ashk pirota jaun

    main to har chhanw se guzrunga muhajir ki tarah

    main hun ek naqsh-e-qadam dasht-e-faramoshi ka

    bhul jaoge mujhe tum bhi musafir ki tarah

    chaaragar dur na jaana kahin ji Darta hai

    aaj ki raat hai gahri shab-e-aKHir ki tarah

    dushman-e-mehr-o-wafa se koi karta hai nibah

    kaun chahega tujhe tere 'musawwir' ki tarah

    Source:

    Manghii dhire chal (Pg. 29)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now