Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye

Mubarak Shamim

hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye

Mubarak Shamim

MORE BYMubarak Shamim

    hasrato ab phir vahī taqrīb honā chāhiye

    phir kisī din baiTh kar fursat se ronā chāhiye

    jāgte rahiye kahāñ tak uljhanoñ ke naam par

    vaqt haath aa.e to gahrī niiñd sonā chāhiye

    kyā ḳhabar kab qaid-e-bām-o-dar se uktā jaa.e dil

    bastiyoñ ke darmiyāñ sahrā bhī honā chāhiye

    gum-rahī jin rāstoñ par mujh ko bahlātī rahī

    mujh se ab vo rāste mansūb honā chāhiye

    jaane kyā soche zamāna un ke ashkoñ par 'shamīm'

    haañ na tum ko tanz ke nashtar chubhonā chāhiye

    hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye

    phir kisi din baiTh kar fursat se rona chahiye

    jagte rahiye kahan tak uljhanon ke nam par

    waqt hath aae to gahri nind sona chahiye

    kya KHabar kab qaid-e-baam-o-dar se ukta jae dil

    bastiyon ke darmiyan sahra bhi hona chahiye

    gum-rahi jin raston par mujh ko bahlati rahi

    mujh se ab wo raste mansub hona chahiye

    jaane kya soche zamana un ke ashkon par 'shamim'

    han na tum ko tanz ke nashtar chubhona chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now