Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj

Ahmad Armani

hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj

Ahmad Armani

MORE BYAhmad Armani

    hastī meñ us jalva ayaañ rahā huuñ aaj

    dil ko tasavvurāt se bahlā rahā huuñ aaj

    mil jaa.e koī baab ḳhushī maiñ is liye

    phir se kitāb-e-zīst ko dohrā rahā huuñ aaj

    ab apnā zarf-e-mai-kashī dikhlāne ke liye

    saaqī ke hāthoñ ḳhuub piye rahā huuñ aaj

    mahfil meñ ḳhaas un aqīdat ke vāste

    hāthoñ pe apne dil ko liye rahā huuñ aaj

    manzil pe maiñ huuñ ki fareb-e-nazar hai ye

    har samt maiñ ḳhud ko nazar aa rahā huuñ aaj

    un ke marīz-e-hijr ne ye kah ke jaan

    kal ā.eñge vo dekhne maiñ rahā huuñ aaj

    'ahmad' zamāna diid hai jis muntazir

    har-sū maiñ us jalva ayaañ rahā huuñ aaj

    hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj

    dil ko tasawwuraat se bahla raha hun aaj

    mil jae koi bab KHushi ka main is liye

    phir se kitab-e-zist ko dohra raha hun aaj

    ab apna zarf-e-mai-kashi dikhlane ke liye

    saqi ke hathon KHub piye ja raha hun aaj

    mahfil mein KHas un ki aqidat ke waste

    hathon pe apne dil ko liye ja raha hun aaj

    manzil pe main hun ya ki fareb-e-nazar hai ye

    har samt main hi KHud ko nazar aa raha hun aaj

    un ke mariz-e-hijr ne ye kah ke jaan di

    kal aaenge wo dekhne main ja raha hun aaj

    'ahmad' zamana did ka hai jis ki muntazir

    har-su main us ka jalwa ayan pa raha hun aaj

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 52)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now