Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka

Munshi Khairati Laal Shagufta

haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka

Munshi Khairati Laal Shagufta

MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta

    haTā kar dāman-e-gesū dikhā do husn sūrat

    ki āġhosh-e-musībat meñ mujhe armāñ hai rāhat

    mire nāloñ se chhoḌā taur zālim ne adāvat

    duāoñ ko milā malbūs dāmān-e-ijābat

    zarā to dil ko dil se rabt hone de mohabbat

    mirī hājat se bar aa.egā matlab terī hājat

    na niklī muñh chhupā kar ye gulū-e-ḳhushk se ġham meñ

    mirī fariyād ne sīkhā asar dar-parda ismat

    tumhārā dast-e-nāzuk aa gayā jab tauq-e-gardan par

    garebān-e-musībat meñ huā paivand rāhat

    qad-e-mauzūñ pe zulfoñ ne havā se jo chālākī

    nazar aaya tasalsul saaf āshob-e-qayāmat

    huā huuñ muntahī ta.alīm kar ishq-e-kāmil se

    paḌhāo nāseh-e-mushfiq na dībācha nasīhat

    bahut tadbīr lekin na niklā ye mire dil se

    ilāhī hausla matlab hai kyā us tabī.at

    tamannā-e-safā.ī na kyūñkar ḳhuuñ ho ai zālim

    jigar par zaḳhm kaarī paḌ gayā teġh-e-kudūrat

    zarā do haath meñ haath ai parī-paikar ḳhushī ho kar

    sar-e-dast aap rāhat se hove vasl rāhat

    gulistān-e-jahāñ meñ miT ke tujh par ai gul-e-ḳhūbī

    tamanna se shagūfa ban gayā huuñ shāḳh-e-ulfat

    hañsī mujh ko na aa.egī tumhāre gudgudāne se

    musībat āshnā ke paas hai kyā kaam rāhat

    karūñ tadbīr kyā ai ham-nafas kuchh ban nahīñ paḌtī

    mirī jānib se dil TuuTā huā hai merī qismat

    girā jo ashk chashm-e-kilk se dāmān-e-kāġhaz par

    nazar aaya mujhe qatra mire āb-e-nadāmat

    jo likhtā huuñ kabhī mazmūn-e-rāhat yār-e-bad-zan ko

    dikhā kar aañkh kyā kyā ghūrtā hai ain usrat

    karo teġh-e-nigah se qatl aa kar jāñ-nisāroñ meñ

    nikal jaa.e kahīñ armāñ mire dil se shahādat

    haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka

    ki aaghosh-e-musibat mein mujhe arman hai rahat ka

    mere nalon se chhoDa taur zalim ne adawat ka

    duaon ko mila malbus daman-e-ijabat ka

    zara to dil ko dil se rabt hone de mohabbat ka

    meri hajat se bar aaega matlab teri hajat ka

    na nikli munh chhupa kar ye gulu-e-KHushk se gham mein

    meri fariyaad ne sikha asar dar-parda ismat ka

    tumhaara dast-e-nazuk aa gaya jab tauq-e-gardan par

    gareban-e-musibat mein hua paiwand rahat ka

    qad-e-mauzun pe zulfon ne hawa se ki jo chaalaki

    nazar aaya tasalsul saf aashob-e-qayamat ka

    hua hun muntahi talim pa kar ishq-e-kaamil se

    paDhao naseh-e-mushfiq na dibacha nasihat ka

    bahut tadbir ki lekin na nikla ye mere dil se

    ilahi hausla matlab hai kya us ki tabiat ka

    tamanna-e-safai ka na kyunkar KHun ho ai zalim

    jigar par zaKHm kari paD gaya tegh-e-kudurat ka

    zara do hath mein hath ai pari-paikar KHushi ho kar

    sar-e-dast aap ki rahat se howe wasl rahat ka

    gulistan-e-jahan mein miT ke tujh par ai gul-e-KHubi

    tamanna se shagufa ban gaya hun shaKH-e-ulfat ka

    hansi mujh ko na aaegi tumhaare gudgudane se

    musibat aashna ke pas hai kya kaam rahat ka

    karun tadbir kya ai ham-nafas kuchh ban nahin paDti

    meri jaanib se dil TuTa hua hai meri qismat ka

    gira jo ashk chashm-e-kilk se daman-e-kaghaz par

    nazar aaya mujhe qatra mere aab-e-nadamat ka

    jo likhta hun kabhi mazmun-e-rahat yar-e-bad-zan ko

    dikha kar aankh kya kya ghurta hai ain usrat ka

    karo tegh-e-nigah se qatl aa kar jaan-nisaron mein

    nikal jae kahin arman mere dil se shahadat ka

    Source:

    (Pg. 39)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now