Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge

Krishn Gopal Maghmum

hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge

Krishn Gopal Maghmum

MORE BYKrishn Gopal Maghmum

    hausla diid aur tāb-e-nazar dekheñge

    husn husn ke ham shams-o-qamar dekheñge

    dekhnā paḌ ga.ī māyūs añdheroñ sahar

    sochte the ki umīdoñ sahar dekheñge

    kyā ajab giit bhī bulbul sunā.ī de jaa.e

    sehn-e-gulzār meñ ik ik gul-e-tar dekheñge

    rū-ba-rū un ke koī baat na ham se hogī

    apnī ḳhāmosh nigāhoñ asar dekheñge

    ab aa.e ki na aa.e ye tujhī par chhoḌā

    umr bhar ham to tirī rāhguzar dekheñge

    ham ne mehnat se lagā.e the suḳhan ke paude

    sochte the ki kabhī un samar dekheñge

    ibtidā se hai kesh apnā faqat tark-e-rūsūm

    chhoḌ kar dair-o-haram aap dar dekheñge

    apne ā.īna-e-ġham meñ ġham-e-āfāq liye

    ġham-e-hastī ko ba-andāz-e-digar dekheñge

    zindagī laa.ī nazar meñ jo havādis 'maġhmūm

    dekhnā ham nahīñ chāheñge magar dekheñge

    hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge

    husn hi husn ke hum shams-o-qamar dekhenge

    dekhna paD gai mayus andheron ki sahar

    sochte the ki umidon ki sahar dekhenge

    kya ajab git bhi bulbul ka sunai de jae

    sehn-e-gulzar mein ek ek gul-e-tar dekhenge

    ru-ba-ru un ke koi baat na hum se hogi

    apni KHamosh nigahon ka asar dekhenge

    tu ab aae ki na aae ye tujhi par chhoDa

    umr bhar hum to teri rahguzar dekhenge

    hum ne mehnat se lagae the suKHan ke paude

    sochte the ki kabhi un ka samar dekhenge

    ibtida hi se hai kesh apna faqat tark-e-rusum

    chhoD kar dair-o-haram aap ka dar dekhenge

    apne aaina-e-gham mein gham-e-afaq liye

    gham-e-hasti ko ba-andaz-e-digar dekhenge

    zindagi lai nazar mein jo hawadis 'maghmum

    dekhna hum nahin chahenge magar dekhenge

    Source:

    Jada-e-Shauq (Pg. 113)

    • Author: Krishn Gopal Maghmum
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now