Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hausla koi shab-e-wasl nikalne na diya

Fakhir Lakhnavi

hausla koi shab-e-wasl nikalne na diya

Fakhir Lakhnavi

MORE BYFakhir Lakhnavi

    hausla koī shab-e-vasl nikalne na diyā

    dard-e-dil ne mujhe ik dam bhī sañbhalne na diyā

    āsmānoñ ko dilā zabt ne jalne na diyā

    ātishīñ-nāla mire muñh se nikalne na diyā

    ham ne dil soz-e-tap-e-hijr se jalne na diyā

    saath aahoñ ke dhuāñ muñh se nikalne na diyā

    bāġhiyoñ ne ye kiyā zulm misāl-e-shamshād

    naḳhl-e-ummīd mirā phūlne phalne na diyā

    zikr-e-gesū-e-pareshāñ se pareshāñ rakkhā

    dil ko maiñ ne shab-e-furqat meñ sañbhalne na diyā

    ḳhanjar-e-nāz se manzūr jo thā qatl mujhe

    nīmcha miyān se qātil nikalne na diyā

    ai masīhā tap-e-furqat bhī balā hai koī

    tere bīmār-e-mohabbat ko sañbhalne na diyā

    ḳhauf-e-tārājī-e-gulshan use thā jo ḳhayāl

    naala bulbul ne kabhī muñh se nikalne na diyā

    laakh phaḌkā kiyā maiñ ne magar ai sayyād

    murġh-e-dil ko qafas-e-tan se nikalne na diyā

    bāzī-e-ishq bhalā ham se vo kyā le jaatā

    'fāḳhir' us shoḳh chakma koī chalne na diyā

    hausla koi shab-e-wasl nikalne na diya

    dard-e-dil ne mujhe ek dam bhi sanbhalne na diya

    aasmanon ko dila zabt ne jalne na diya

    aatishin-nala mere munh se nikalne na diya

    hum ne dil soz-e-tap-e-hijr se jalne na diya

    sath aahon ke dhuan munh se nikalne na diya

    baghiyon ne ye kiya zulm misal-e-shamshad

    naKHl-e-ummid mera phulne phalne na diya

    zikr-e-gesu-e-pareshan se pareshan rakkha

    dil ko main ne shab-e-furqat mein sanbhalne na diya

    KHanjar-e-naz se manzur jo tha qatl mujhe

    nimcha miyan se qatil ki nikalne na diya

    ai masiha tap-e-furqat bhi bala hai koi

    tere bimar-e-mohabbat ko sanbhalne na diya

    KHauf-e-taraji-e-gulshan ka use tha jo KHayal

    nala bulbul ne kabhi munh se nikalne na diya

    lakh phaDka hi kiya main ne magar ai sayyaad

    murgh-e-dil ko qafas-e-tan se nikalne na diya

    bazi-e-ishq bhala hum se wo kya le jata

    'faKHir' us shoKH ka chakma koi chalne na diya

    Source:

    Karnama-e-Nazm (Pg. 26)

    • Author: Fakhir Lakhnavi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1889
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now