Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hausla lae kahan se koi diwane ka

Shahid Bhopali

hausla lae kahan se koi diwane ka

Shahid Bhopali

MORE BYShahid Bhopali

    hausla laa.e kahāñ se koī dīvāne

    manzil-e-ġham meñ irāda hai Thahar jaane

    silsila chhiḌ gayā jab tuur ke afsāne

    ik bahāna to milā tere qarīb aane

    ek muddat se ye paiġhām hai dīvāne

    vaqt hai dār-o-rasan se bhī guzar jaane

    pursish-e-ġham ko vo aa.e haiñ pashemāñ ho kar

    zindagī mujhe mauqa hai na mar jaane

    dushman-e-hosh-o-ḳhirad log kaheñge tujh ko

    maiñ to mamnūn huuñ nāseh tire samjhāne

    aap anjuman-e-nāz se aage baḌh kar

    ik maqām aur bhī hai dil ke taḌap jaane

    uñgliyāñ log uThāte haiñ sar-e-rāh-e-hayāt

    aap kyuuñ ban ga.e unvāñ mire afsāne

    nāḳhudā mauj-e-havādis se Darā jaatā hai

    aur yahī vaqt hai tūfān se Takrāne

    kashmakash donoñ jagah dekh rahā huuñ 'shāhid'

    ab na ka.abe irāda hai na but-ḳhāne

    hausla lae kahan se koi diwane ka

    manzil-e-gham mein irada hai Thahar jaane ka

    silsila chhiD gaya jab tur ke afsane ka

    ek bahana to mila tere qarib aane ka

    ek muddat se ye paigham hai diwane ka

    waqt hai dar-o-rasan se bhi guzar jaane ka

    pursish-e-gham ko wo aae hain pasheman ho kar

    zindagi ka mujhe mauqa hai na mar jaane ka

    dushman-e-hosh-o-KHirad log kahenge tujh ko

    main to mamnun hun naseh tere samjhane ka

    aap ki anjuman-e-naz se aage baDh kar

    ek maqam aur bhi hai dil ke taDap jaane ka

    ungliyan log uThate hain sar-e-rah-e-hayat

    aap kyun ban gae unwan mere afsane ka

    naKHuda mauj-e-hawadis se Dara jata hai

    aur yahi waqt hai tufan se Takrane ka

    kashmakash donon jagah dekh raha hun 'shahid'

    ab na kabe ka irada hai na but-KHane ka

    Source:

    Baitul Ghazal (Pg. 86)

    • Author: Shahid Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now