Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hausla mujh mein nahin hai baat ka

Mohammad Mustahsan Jami

hausla mujh mein nahin hai baat ka

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    hausla mujh meñ nahīñ hai baat

    maiñ ki huuñ maarā huā sadmāt

    kho ga.ī hai zindagī merī kahāñ

    dekh ruḳh aa kar kabhī hālāt

    lafz aur āvāz donoñ kho ga.e

    mujh se haq chhīnā gayā hai baat

    is taraf aane se pahle soch le

    maiñ huuñ baasī vādī-e-zulmāt

    zāt-e-haq ma.arifat ke vāste

    hai sabaq pahlā nafī isbāt

    ab zamāne-bhar ko sairāb kar

    maiñ nahīñ saa.il tirī ḳhairāt

    hausla mujh mein nahin hai baat ka

    main ki hun mara hua sadmat ka

    kho gai hai zindagi meri kahan

    dekh ruKH aa kar kabhi haalat ka

    lafz aur aawaz donon kho gae

    mujh se haq chhina gaya hai baat ka

    is taraf aane se pahle soch le

    main hun basi wadi-e-zulmat ka

    zat-e-haq ki marifat ke waste

    hai sabaq pahla nafi isbaat ka

    ab zamane-bhar ko tu sairab kar

    main nahin sail teri KHairaat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now