hausle haare hue kashti bhi TuTi hui hai
hausle haare hue kashtī bhī TuuTī huī hai
patte bikhre hue haiñ jhiil bhī utrī huī hai
dilbarī ke sabhī ādāb use aate haiñ
pahle bhī ek nazar se kahīñ guzrī huī hai
khiḌkiyāñ khol zarā būñdoñ kī Tap-Tap to sun
aise mausam meñ bhalā kis liye rūThī huī hai
ḳhud bhī guzre ho kabhī aise kisī tajrabe se
yā mohabbat pe faqat film hī dekhī huī hai
maiñ ne ruknā nahīñ ab us ne palaTnā ho to ho
aasrā kartā nahīñ aas bhī rakkhī huī hai
ye mohabbat hai miyāñ sab se yūñhī miltī hai
tujh ko lagtā hai tire saath anokhī huī hai
mar bhī jā.ūñ ise dariyā meñ nahīñ Dālūñgā
muddatoñ baad to mujh se koī nekī huī hai
hausle haare hue kashti bhi TuTi hui hai
patte bikhre hue hain jhil bhi utri hui hai
dilbari ke sabhi aadab use aate hain
pahle bhi ek nazar se kahin guzri hui hai
khiDkiyan khol zara bundon ki Tap-Tap to sun
aise mausam mein bhala kis liye ruThi hui hai
KHud bhi guzre ho kabhi aise kisi tajrabe se
ya mohabbat pe faqat film hi dekhi hui hai
main ne rukna nahin ab us ne palaTna ho to ho
aasra karta nahin aas bhi rakkhi hui hai
ye mohabbat hai miyan sab se yunhi milti hai
tujh ko lagta hai tere sath anokhi hui hai
mar bhi jaun ise dariya mein nahin Dalunga
muddaton baad to mujh se koi neki hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.