Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin

Raziya Subhan

hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin

Raziya Subhan

MORE BYRaziya Subhan

    havā chalī to bahut der tak rukī nahīñ

    tumhārī yaad ki jaise kabhī thamī nahīñ

    samā.atoñ meñ mirī gūñjtī rahī har dam

    vo ek baat jo us ne kabhī kahī nahīñ

    na jaane kis liye us intizār rahā

    vo ek shaḳhs ki jis se kabhī milī nahīñ

    havā ne jab bhī uḌāyā ga.ī falak taraf

    ajiib ḳhaak thī jo ḳhaak meñ milī nahīñ

    kabhī lagā ki bahut tez-rau rahe lamhe

    kabhī lagā ka.ī sadiyoñ se maiñ chalī nahīñ

    kalī bhī dil meñ mohabbat ik hañsī thī magar

    kabhī vo bāġh-e-tamannā meñ to khilī nahīñ

    maiñ ik safīr huuñ 'raziya' gudāz lahjoñ

    ḳhafā kisī se kabhī der tak rahī nahīñ

    hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin

    tumhaari yaad ki jaise kabhi thami hi nahin

    samaaton mein meri gunjti rahi har dam

    wo ek baat jo us ne kabhi kahi hi nahin

    na jaane kis liye us ka hi intizar raha

    wo ek shaKHs ki jis se kabhi mili hi nahin

    hawa ne jab bhi uDaya gai falak ki taraf

    ajib KHak thi jo KHak mein mili hi nahin

    kabhi laga ki bahut tez-rau rahe lamhe

    kabhi laga kai sadiyon se main chali hi nahin

    kali bhi dil mein mohabbat ki ek hansi thi magar

    kabhi wo bagh-e-tamanna mein to khili hi nahin

    main ek safir hun 'raziya' gudaz lahjon ki

    KHafa kisi se kabhi der tak rahi hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now