hawa chali to daricha khula achanak hi
havā chalī to darīcha khulā achānak hī
dhuāñ charāġh kā rone lagā achānak hī
vo zard dhuup mire tan ko gudgudātī thī
use kisī ne Tahokā diyā achānak hī
maiñ ḳhvāb meñ koī panchhī thā shāḳh par baiThā
to dekhtā huuñ ki maiñ gir gayā achānak hī
musavvir ātish-e-malbūs hī banā rahā thā
dhuāñ barahna tanoñ se uThā achānak hī
ise na dekh ye but aañkh khol saktā hai
kisī ne kaan meñ mere kahā achānak hī
vo sabz ghaas mire sehn ko sulā rahī thī
ki us kī god pe saaya paḌā achānak hī
'ajīb un pe kabhī daura paḌne lagtā hai
mujhe TaTolte haiñ dast-o-pā achānak hī
tavīl mashq kā phal hai 'shafaq' ye baat nahīñ
hamāre she'r kā charchā huā achānak hī
hawa chali to daricha khula achanak hi
dhuan charagh ka rone laga achanak hi
wo zard dhup mere tan ko gudgudati thi
use kisi ne Tahoka diya achanak hi
main KHwab mein koi panchhi tha shaKH par baiTha
to dekhta hun ki main gir gaya achanak hi
musawwir aatish-e-malbus hi bana raha tha
dhuan barahna tanon se uTha achanak hi
ise na dekh ye but aankh khol sakta hai
kisi ne kan mein mere kaha achanak hi
wo sabz ghas mere sehn ko sula rahi thi
ki us ki god pe saya paDa achanak hi
'ajib un pe kabhi daura paDne lagta hai
mujhe TaTolte hain dast-o-pa achanak hi
tawil mashq ka phal hai 'shafaq' ye baat nahin
hamare she'r ka charcha hua achanak hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.