hawa-e-mast ne kanon mein kuchh kaha hai kya
havā-e-mast ne kānoñ meñ kuchh kahā hai kyā
tire ḳhayāl ne dil ko mire chhuā hai kyā
ye kaisī raushnī dahlīz tak chalī aa.ī
nayā charāġh koī raah meñ jalā hai kyā
ye kyā huā hai mujhe chain kyoñ nahīñ aatā
kisī kī aañkh se aañsū kahīñ girā hai kyā
talab ho sach to nahīñ duur manzil-e-jānāñ
baġhair 'ishq kabhī mo'jiza huā hai kyā
akelā-pan hai khaTaktā hai shor yādoñ kā
kabhī kabhī to lage yaad bhī sazā hai kyā
mashām-e-jāñ meñ koī dard-e-lā-davā Thahrā
tumhārī yaad kā mausam harā-bharā hai kyā
vafā ke baab meñ tarmīm ho rahī hai 'ġhazal'
hamāre baa'd koī faisla huā hai kyā
hawa-e-mast ne kanon mein kuchh kaha hai kya
tere KHayal ne dil ko mere chhua hai kya
ye kaisi raushni dahliz tak chali aai
naya charagh koi rah mein jala hai kya
ye kya hua hai mujhe chain kyon nahin aata
kisi ki aankh se aansu kahin gira hai kya
talab ho sach to nahin dur manzil-e-jaanan
baghair 'ishq kabhi mo'jiza hua hai kya
akela-pan hai khaTakta hai shor yaadon ka
kabhi kabhi to lage yaad bhi saza hai kya
masham-e-jaan mein koi dard-e-la-dawa Thahra
tumhaari yaad ka mausam hara-bhara hai kya
wafa ke bab mein tarmim ho rahi hai 'ghazal'
hamare ba'd koi faisla hua hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.