Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai

Obaid Siddiqi

hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    havā-e-shām na jaane kahāñ se aatī hai

    vahāñ gulāb bahut haiñ jahāñ se aatī hai

    ye kis chehra damaktā hai merī āñkhoñ meñ

    ye kis yaad mujhe kahkashāñ se aatī hai

    isī falak se utartā hai ye añdherā bhī

    ye raushnī bhī isī āsmāñ se aatī hai

    ye kis ne ḳhaak uḌā hai lāla-zāroñ meñ

    zamīñ pe aisī tabāhī kahāñ se aatī hai

    sadā-e-girya jise ek maiñ suntā huuñ

    hujūm-e-shahr tire darmiyāñ se aatī hai

    hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai

    wahan gulab bahut hain jahan se aati hai

    ye kis ka chehra damakta hai meri aankhon mein

    ye kis ki yaad mujhe kahkashan se aati hai

    isi falak se utarta hai ye andhera bhi

    ye raushni bhi isi aasman se aati hai

    ye kis ne KHak uDa di hai lala-zaron mein

    zamin pe aisi tabahi kahan se aati hai

    sada-e-girya jise ek main hi sunta hun

    hujum-e-shahr tere darmiyan se aati hai

    Source:

    Rang hava main phel raha hai (Pg. 197)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now