hawa-e-sham se diwar mein shigaf aaya
havā-e-shām se dīvār meñ shigāf aayā
badan meñ jitnā añdherā thā zer-e-nāf aayā
ye tajraba bhī huā sardiyoñ kī rātoñ meñ
maiñ so gayā to mujhe oḌhne lihāf aayā
ka.ī gunāh mirī sohbatoñ meñ the lekin
nikal ke ḳhema-e-shab se maiñ saaf saaf aayā
use qubūl haiñ āvāra-gardiyāñ merī
ki mere hisse meñ phir mausam-e-tavāf aayā
chalo ye band bhī TuuTā ki aaj mere naam
muāfiqīn kī jānib se iḳhtilāf aayā
hawa-e-sham se diwar mein shigaf aaya
badan mein jitna andhera tha zer-e-naf aaya
ye tajraba bhi hua sardiyon ki raaton mein
main so gaya to mujhe oDhne lihaf aaya
kai gunah meri sohbaton mein the lekin
nikal ke KHema-e-shab se main saf saf aaya
use qubul hain aawara-gardiyan meri
ki mere hisse mein phir mausam-e-tawaf aaya
chalo ye band bhi TuTa ki aaj mere nam
muafiqin ki jaanib se iKHtilaf aaya
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 74)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.