hawa-e-shahr banai hui si lagti hai
havā-e-shahr banā.ī huī sī lagtī hai
jo baat sach hai uḌaa.ī huī sī lagtī hai
jo baat us ne jhijhakte hue batā.ī hai
vo baat ab bhī chhupā.ī huī sī lagtī hai
dhuāñ haTāo ye kālak miTāo chehroñ se
ye shaam ab bhī bujhā.ī huī sī lagtī hai
inhīñ udaas nigāhoñ kī peshgī meñ ye raat
sitāra-vār sajā.ī huī sī lagtī hai
baḌā hasīn hai us kī tarah firāq us kā
vo jāte-jāte bhī aa.ī huī sī lagtī hai
hawa-e-shahr banai hui si lagti hai
jo baat sach hai uDai hui si lagti hai
jo baat us ne jhijhakte hue batai hai
wo baat ab bhi chhupai hui si lagti hai
dhuan haTao ye kalak miTao chehron se
ye sham ab bhi bujhai hui si lagti hai
inhin udas nigahon ki peshgi mein ye raat
sitara-war sajai hui si lagti hai
baDa hasin hai us ki tarah firaq us ka
wo jate-jate bhi aai hui si lagti hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 103)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.