hawa ka jhonka na koi aahaT kisi taraf se
havā kā jhoñkā na koī aahaT kisī taraf se
maiñ ḳhush-gumānī meñ mubtalā thā tirī taraf se
'ajab sī hālat hai aaj dil kī mu'āf karnā
agar kisī kā bhī dil dukhā ho mirī taraf se
tujhe pata hai sadā.eñ aatī haiñ mujh ko shab bhar
tū jis jagah par judā huā thā usī taraf se
ye rafta rafta jo bujh rahe haiñ charāġh mere
havā.eñ kaisī ye chal paḌī haiñ tirī taraf se
bas ik taraf hī paḌā huā huuñ ka.ī dinoñ se
maiñ mushkiloñ meñ ghirā huā huuñ sabhī taraf se
hawa ka jhonka na koi aahaT kisi taraf se
main KHush-gumani mein mubtala tha teri taraf se
'ajab si haalat hai aaj dil ki mu'af karna
agar kisi ka bhi dil dukha ho meri taraf se
tujhe pata hai sadaen aati hain mujh ko shab bhar
tu jis jagah par juda hua tha usi taraf se
ye rafta rafta jo bujh rahe hain charagh mere
hawaen kaisi ye chal paDi hain teri taraf se
bas ek taraf hi paDa hua hun kai dinon se
main mushkilon mein ghira hua hun sabhi taraf se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.