Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ka talKH lahja hai charaghon ki pareshani

Uvais Girach

hawa ka talKH lahja hai charaghon ki pareshani

Uvais Girach

MORE BYUvais Girach

    havā talḳh lahja hai charāġhoñ pareshānī

    chamakte chāñd sūraj haiñ sitāroñ pareshānī

    kināroñ meñ bhī shāyad Duub jaane talab hogī

    pata kaise kareñge ham kināroñ pareshānī

    mire pyāre hamārī zindagī meñ aur bahut ġham haiñ

    mohabbat hijr ye to haiñ hazāroñ pareshānī

    ye sahrā bhī to shāyad dhuup se tilmilātā hai

    samundar duur kar in regzāroñ pareshānī

    na jaane kaise kaise naqsh-e-pā ko sar pe lete haiñ

    ye koī kam nahīñ hai yaar pattoñ pareshānī

    vahī bachche ki jis ko bolnā chalnā sikhāyā thā

    vahī bachche kyuuñ haiñ aaj maaoñ pareshānī

    daraḳhtoñ ko bhī shāyad hijratoñ ke rañg chakhne haiñ

    Tahaltī Dāliyāñ kahtī haiñ peḌoñ pareshānī

    havā.eñ chal rahī haiñ un ko ruknā ho kahīñ shāyad

    patā karte chalo kyā hai havāoñ pareshānī

    hawa ka talKH lahja hai charaghon ki pareshani

    chamakte chand suraj hain sitaron ki pareshani

    kinaron mein bhi shayad Dub jaane ki talab hogi

    pata kaise karenge hum kinaron ki pareshani

    mere pyare hamari zindagi mein aur bahut gham hain

    mohabbat hijr ye to hain hazaron ki pareshani

    ye sahra bhi to shayad dhup hi se tilmilata hai

    samundar dur kar in regzaron ki pareshani

    na jaane kaise kaise naqsh-e-pa ko sar pe lete hain

    ye koi kam nahin hai yar patton ki pareshani

    wahi bachche ki jis ko bolna chalna sikhaya tha

    wahi bachche hi kyun hain aaj maon ki pareshani

    daraKHton ko bhi shayad hijraton ke rang chakhne hain

    Tahalti Daliyan kahti hain peDon ki pareshani

    hawaen chal rahi hain un ko rukna ho kahin shayad

    pata karte chalo kya hai hawaon ki pareshani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now