Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai

Satish Shukla Raqeeb

hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai

Satish Shukla Raqeeb

MORE BYSatish Shukla Raqeeb

    havā ke dosh pe kis gul-badan ḳhushbū hai

    gumān hotā hai saare chaman ḳhushbū hai

    qarīb ke tujhe jhūmtā hai man merā

    jo tere tan hai vo mere man ḳhushbū hai

    balā shoḳh hai sūraj ek ek kiran

    payām-e-zindagī har ik kiran ḳhushbū hai

    gale milī kabhī urdu jahāñ pe hindī se

    mire mizāj meñ us anjuman ḳhushbū hai

    ajiib sehr hai ai dost tere āñchal meñ

    baḌī anokhī tire pairahan ḳhushbū hai

    vatan se aayā hai ye ḳhat 'raqīb' mere naam

    har ek lafz meñ gañg-o-jaman ḳhushbū hai

    hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai

    guman hota hai sare chaman ki KHushbu hai

    qarib pa ke tujhe jhumta hai man mera

    jo tere tan ki hai wo mere man ki KHushbu hai

    bala ki shoKH hai suraj ki ek ek kiran

    payam-e-zindagi har ek kiran ki KHushbu hai

    gale mili kabhi urdu jahan pe hindi se

    mere mizaj mein us anjuman ki KHushbu hai

    ajib sehr hai ai dost tere aanchal mein

    baDi anokhi tere pairahan ki KHushbu hai

    watan se aaya hai ye KHat 'raqib' mere nam

    har ek lafz mein gang-o-jaman ki KHushbu hai

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 111)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now