hawa ke ruKH pe khuli zulf-e-yar lagti hai
havā ke ruḳh pe khulī zulf-e-yār lagtī hai
nasīm-e-sub.h bahut mushkbār lagtī hai
adā hamārī use nāgavār lagtī hai
ye sādgī bhī use kārobār lagtī hai
tire baġhair to gul-būTe ḳhaar lagte haiñ
tū saath hai to ḳhizāñ bhī bahār lagtī hai
tamām raat hī karvaT badalte rahte ho
tumhāre dosh pe duniyā savār lagtī hai
udāsiyoñ kā hai sahrā kisī ke chehre par
ye kā.enāt baḌī sogvār lagtī hai
jise bhī dekhiye tar hai vo ḳhuun meñ 'dānish'
ye saarī bastī hameñ ḳhār-dār lagtī hai
hawa ke ruKH pe khuli zulf-e-yar lagti hai
nasim-e-subh bahut mushkbar lagti hai
ada hamari use nagawar lagti hai
ye sadgi bhi use karobar lagti hai
tere baghair to gul-buTe KHar lagte hain
tu sath hai to KHizan bhi bahaar lagti hai
tamam raat hi karwaT badalte rahte ho
tumhaare dosh pe duniya sawar lagti hai
udasiyon ka hai sahra kisi ke chehre par
ye kaenat baDi sogwar lagti hai
jise bhi dekhiye tar hai wo KHun mein 'danish'
ye sari basti hamein KHar-dar lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.