Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

Ahmad Faraz

hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    havā ke zor se pindār-e-bām-o-dar bhī gayā

    charāġh ko jo bachāte the un ghar bhī gayā

    pukārte rahe mahfūz kashtiyoñ vaale

    maiñ Dūbtā huā dariyā ke paar utar bhī gayā

    ab ehtiyāt dīvār kyā uThāte ho

    jo chor dil meñ chhupā thā vo kaam kar bhī gayā

    maiñ chup rahā ki isī meñ thī āfiyat jaañ

    koī to merī tarah thā jo daar par bhī gayā

    sulagte sochte vīrān mausamoñ tarah

    kaḌā thā ahd-e-javānī magar guzar bhī gayā

    jise bhulā na sakā us ko yaad kyā rakhtā

    jo naam lab pe rahā zehn se utar bhī gayā

    phaTī phaTī huī āñkhoñ se yuuñ na dekh mujhe

    tujhe talāsh hai jis shaḳhs vo mar bhī gayā

    magar falak ko adāvat usī ke ghar se thī

    jahāñ 'farāz' na thā sail-e-ġham udhar bhī gayā

    hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

    charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

    pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale

    main Dubta hua dariya ke par utar bhi gaya

    ab ehtiyat ki diwar kya uThate ho

    jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya

    main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki

    koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

    sulagte sochte viran mausamon ki tarah

    kaDa tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya

    jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta

    jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya

    phaTi phaTi hui aankhon se yun na dekh mujhe

    tujhe talash hai jis shaKHs ki wo mar bhi gaya

    magar falak ko adawat usi ke ghar se thi

    jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now