Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana

Naheed Kausar

hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana

Naheed Kausar

MORE BYNaheed Kausar

    havā halkī aahaT pe yuuñ machal jaanā

    umīd-e-vasl pe bismil phir sambhal jaanā

    na aa rahe the na aanā thā aur na imkāñ thā

    ye zo.am-e-dil thā qismat yuuñ badal jaanā

    ye dil pe bojh hai dardoñ tirī yādeñ

    ābloñ harārat se hai pighal jaanā

    tirī talāsh meñ uTh uTh ke pāgaloñ tarah

    shab-e-firāq meñ ghar se kahīñ nikal jaanā

    ye jānte haiñ ki mumkin nahīñ lauT aa.e

    shi.ār-e-dil hai tirī yaad se bahal jaanā

    tirī umiid jab sar se uTh gayā āñchal

    to fasl-e-gul meñ thā yaksar ḳhizāñ meñ Dhal jaanā

    abhī thī tere safīne muntazir 'kausar'

    ajab lagā tire sāhil se yuuñ phisal jaanā

    hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana

    umid-e-wasl pe bismil ka phir sambhal jaana

    na aa rahe the na aana tha aur na imkan tha

    ye zoam-e-dil tha ya qismat ka yun badal jaana

    ye dil pe bojh hai dardon ka ya teri yaaden

    ya aablon ka hararat se hai pighal jaana

    teri talash mein uTh uTh ke pagalon ki tarah

    shab-e-firaq mein ghar se kahin nikal jaana

    ye jaante hain ki mumkin nahin tu lauT aae

    shiar-e-dil hai teri yaad se bahal jaana

    teri umid ka jab sar se uTh gaya aanchal

    to fasl-e-gul mein tha yaksar KHizan mein Dhal jaana

    abhi thi tere safine ki muntazir 'kausar'

    ajab laga tere sahil se yun phisal jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now