Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ki tarh main jis aag ke hisar mein tha

Bashir Farooqi

hawa ki tarh main jis aag ke hisar mein tha

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    havā tarh maiñ jis aag ke hisār meñ thā

    mirā nasīb usī halqa-e-sharār meñ thā

    jo sang us ne uThāyā thā mere sar ke liye

    vo kab gulāb banegā maiñ intizār meñ thā

    banā rahā thā vo kal to aise mansūbe

    ki jaise nazm-e-jahāñ us ke iḳhtiyār meñ thā

    khulā jo us tilism-e-badan mire dil par

    mujhe lagā ki maiñ rangoñ ke ābshār meñ thā

    milā thā mujh se vo aġhyār ke vasīle se

    vo be-ḳhabar thā ki maiñ us ke iḳhtiyār meñ thā

    koī charāġh thā raushan ki us rū-e-jamīl

    har ek samt ujālā rahguzār meñ thā

    jo ek sang se kitne phal girā detā

    vo shaḳhs tez havāoñ ke intizār meñ thā

    balā.eñ lauT ga.iiñ dekh kar 'bashīr' mujhe

    ki maiñ to sūra-e-yāsīn ke hisār meñ thā

    hawa ki tarh main jis aag ke hisar mein tha

    mera nasib usi halqa-e-sharar mein tha

    jo sang us ne uThaya tha mere sar ke liye

    wo kab gulab banega main intizar mein tha

    bana raha tha wo kal hi to aise mansube

    ki jaise nazm-e-jahan us ke iKHtiyar mein tha

    khula jo us ka tilism-e-badan mere dil par

    mujhe laga ki main rangon ke aabshaar mein tha

    mila tha mujh se wo aghyar ke wasile se

    wo be-KHabar tha ki main us ke iKHtiyar mein tha

    koi charagh tha raushan ki us ka ru-e-jamil

    har ek samt ujala sa rahguzar mein tha

    jo ek sang se kitne hi phal gira deta

    wo shaKHs tez hawaon ke intizar mein tha

    balaen lauT gain dekh kar 'bashir' mujhe

    ki main to sura-e-yasin ke hisar mein tha

    Source:

    Paron Ke Darmiyan (Pg. 22)

    • Author: Bashir Farooqi
      • Publisher: Bashir Farooqi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now