Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa mein tez-rawi hai na josh pani mein

Majaz Jaipuri

hawa mein tez-rawi hai na josh pani mein

Majaz Jaipuri

MORE BYMajaz Jaipuri

    havā meñ tez-ravī hai na josh paanī meñ

    sukūt-e-marg hai sailāb ravānī meñ

    na koī baat na jhagḌā na mudda.ā koī

    jhulas rahā hai mirā shahr bad-gumānī meñ

    bilā-sabab nahīñ sharh-e-hayāt surḳhī

    jigar ḳhuun bhī shāmil hai tarjumānī meñ

    huī tamām chalo zahmat-e-ḳharīdārī

    balā lutf hai is daur girānī meñ

    huā faqīr to sidra pe aa gayā āḳhir

    bhaTak ga.e the qadam jis ke hukmrānī meñ

    ba-vaqt-e-naza.a nazar aa rahā hai vo ma.abūd

    jo ham ko yaad na aayā bharī javānī meñ

    'majāz' jis satā.ish meñ sher kahtā huuñ

    bas ek vo nahīñ hai mirī kahānī meñ

    hawa mein tez-rawi hai na josh pani mein

    sukut-e-marg hai sailab ki rawani mein

    na koi baat na jhagDa na muddaa koi

    jhulas raha hai mera shahr bad-gumani mein

    bila-sabab nahin sharh-e-hayat ki surKHi

    jigar ka KHun bhi shamil hai tarjumani mein

    hui tamam chalo zahmat-e-KHaridari

    bala ka lutf hai is daur ki girani mein

    hua faqir to sidra pe aa gaya aaKHir

    bhaTak gae the qadam jis ke hukmrani mein

    ba-waqt-e-naza nazar aa raha hai wo mabud

    jo hum ko yaad na aaya bhari jawani mein

    'majaz' jis ki sataish mein sher kahta hun

    bas ek wo hi nahin hai meri kahani mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now