Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar

Anshul Nabh

hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar

Anshul Nabh

MORE BYAnshul Nabh

    havā meñ uḌ na jaa.e dāstāñ dil dhuāñ ho kar

    ġhazal maiñ ne kahī hai boltī be-zabāñ ho kar

    hamāre jism par sūraj sitāre chāñd chamkeñge

    agar ham phail jā.eñge jahāñ meñ āsmāñ ho kar

    mire pīchhe bahut ashkoñ bahut yādoñ duniyā hai

    chalā huuñ is zamīñ par har jagah maiñ kārvāñ ho kar

    yaqīnan phūloñ ḳhushbū meñ kar ghul ga.ī hogī

    havā kuchh der pahle ga.ī mere yahāñ ho kar

    kisī chaurāh pe jab zindagī kar bhaTaktī hai

    mohabbat raah batlātī hai vo guzre kahāñ ho kar

    bahut nazdīk se tanhā.iyāñ maiñ ne nibhā.ī haiñ

    jahāñ bhiiḌ se thoḌā yahāñ thoḌā vahāñ ho kar

    hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar

    ghazal main ne kahi hai bolti si be-zaban ho kar

    hamare jism par suraj sitare chand chamkenge

    agar hum phail jaenge jahan mein aasman ho kar

    mere pichhe bahut ashkon bahut yaadon ki duniya hai

    chala hun is zamin par har jagah main karwan ho kar

    yaqinan phulon ki KHushbu mein ja kar ghul gai hogi

    hawa kuchh der pahle hi gai mere yahan ho kar

    kisi chaurah pe jab zindagi ja kar bhaTakti hai

    mohabbat rah batlati hai wo guzre kahan ho kar

    bahut nazdik se tanhaiyan main ne nibhai hain

    jahan ki bhiD se thoDa yahan thoDa wahan ho kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now