Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa nasib banaya safar likha usne

Saba Ikram

hawa nasib banaya safar likha usne

Saba Ikram

MORE BYSaba Ikram

    havā nasīb banāyā safar likhā us ne

    tamām umr phirūñ dar-ba-dar likhā us ne

    sulagtī dhuup mānind ziist lekin

    na sā.ebān na koī shajar likhā us ne

    tamām shahr pe be-nām ḳhauf taarī hai

    ye jinn bhuut kis asar likhā us ne

    ye aur baat ki unvāñ banā diyā mujh ko

    ġhamoñ ke qisse ko ek ik satar likhā us ne

    ab aa.e ḳhauf ghar ke ḳhayāl se mujh ko

    ye kaisā dil meñ sar-e-shām Dar likhā us ne

    hawa nasib banaya safar likha us ne

    tamam umr phirun dar-ba-dar likha us ne

    sulagti dhup ki manind zist di lekin

    na saeban na koi shajar likha us ne

    tamam shahr pe be-nam KHauf tari hai

    ye jinn ka bhut ka kis ka asar likha us ne

    ye aur baat ki unwan bana diya mujh ko

    ghamon ke qisse ko ek ek satar likha us ne

    ab aae KHauf sa ghar ke KHayal se mujh ko

    ye kaisa dil mein sar-e-sham Dar likha us ne

    Source:

    Sooraj Ki Saleeb (Pg. 42)

    • Author: Saba Ikram
      • Publisher: Dabistan-e-Jadeed, Karachi
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now