hawa ne ye kiya ehsan ki ja kar un ke aiwan mein

hawa ne ye kiya ehsan ki ja kar un ke aiwan mein
Mohammad Baqar Shams
MORE BYMohammad Baqar Shams
havā ne ye kiyā ehsāñ ki jā kar un ke aivāñ meñ
mirā rang-e-parīda bhar diyā tasvīr-e-jānāñ meñ
bagūle haiñ na sahrā hai na saa.eñ saa.eñ āvāzeñ
lagegā jī hamārā kis tarah se bāġh-e-rizvāñ meñ
unhīñ kī yaad jannat meñ bhī taḌpāne lagī dil ko
na dekhī jab adā.eñ un ke aisī hūr-o-ġhilmāñ meñ
bagūle haiñ faqat ik mūnis-e-tanhā.ī sahrā meñ
inhīñ ke saath meñ har samt phirtā huuñ bayābāñ meñ
nazar lagne kā un ke vāste ganDā banāne ko
bachā rakkhe haiñ maiñ ne taar kuchh apne garebāñ meñ
junūn-e-'ishq thā maḳhsūs mujh se baa'd majnūñ ke
na aayā baa'd mere koī dīvāna bayābāñ meñ
mah-o-mā'shūq ho abr-e-bahārāñ ho gulistāñ ho
isī kā naam jannat hai nigāh-e-hosh-mandāñ meñ
nasīhat ke bahāne se janāb-e-shaiḳh aa.e haiñ
nazāra kar rahe haiñ baiTh kar bazm-e-hasīnāñ meñ
hawa ne ye kiya ehsan ki ja kar un ke aiwan mein
mera rang-e-parida bhar diya taswir-e-jaanan mein
bagule hain na sahra hai na saen saen aawazen
lagega ji hamara kis tarah se bagh-e-rizwan mein
unhin ki yaad jannat mein bhi taDpane lagi dil ko
na dekhi jab adaen un ke aisi hur-o-ghilman mein
bagule hain faqat ek munis-e-tanhai sahra mein
inhin ke sath mein har samt phirta hun bayaban mein
nazar lagne ka un ke waste ganDa banane ko
bacha rakkhe hain main ne tar kuchh apne gareban mein
junun-e-'ishq tha maKHsus mujh se ba'd majnun ke
na aaya ba'd mere koi diwana bayaban mein
mah-o-ma'shuq ho abr-e-bahaaran ho gulistan ho
isi ka nam jannat hai nigah-e-hosh-mandan mein
nasihat ke bahane se janab-e-shaiKH aae hain
nazara kar rahe hain baiTh kar bazm-e-hasinan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.