hawa se baat karenge ya hausla karenge
havā se baat kareñge yā hausla kareñge
charāġh aisī fazāoñ meñ aur kyā kareñge
nayā makān khañDar kar liyā sajāte hue
ab aise log tamāshe meñ kyā nayā kareñge
bahut girāyā hai takiye kī 'ādatoñ ne hameñ
so agle ḳhvāb meñ bistar kā aasrā kareñge
tumhāre saath ta'alluq banā.eñge gahrā
zarā sī baat pe haftoñ bhī laḌ liyā kareñge
ham ab kī baar buzurgoñ kā maan rakkheñge
samajh ke soch ke har tajraba kiyā kareñge
bas ek baar hameñ dostī meñ shāmil kar
kareñge terī taraf-dārī bā-ḳhudā kareñge
bichhaḌte vaqt bhī amn-o-amāñ banā rahegā
salām bhejeñge harf-e-du'ā kiyā kareñge
hawa se baat karenge ya hausla karenge
charagh aisi fazaon mein aur kya karenge
naya makan khanDar kar liya sajate hue
ab aise log tamashe mein kya naya karenge
bahut giraya hai takiye ki 'adaton ne hamein
so agle KHwab mein bistar ka aasra karenge
tumhaare sath ta'alluq banaenge gahra
zara si baat pe hafton bhi laD liya karenge
hum ab ki bar buzurgon ka man rakkhenge
samajh ke soch ke har tajraba kiya karenge
bas ek bar hamein dosti mein shamil kar
karenge teri taraf-dari ba-KHuda karenge
bichhaDte waqt bhi amn-o-aman bana rahega
salam bhejenge harf-e-du'a kiya karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.