Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai

Anwar Shuoor

hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai

Anwar Shuoor

MORE BYAnwar Shuoor

    havas balā mohabbat hameñ balā hai

    kabhī butoñ ḳhushāmad kabhī ḳhudā hai

    kisī ko chāhne vaale yahī to karte haiñ

    baḌā kamāl kiyā hai agar vafā hai

    guzar-basar hai hamārī faqat qanā'at par

    nasīb ne yahī rozī hameñ 'atā hai

    tamām raat paḌī thī guzārne ke liye

    chunāñche ḳhatm surāhī zarā zarā hai

    sharāb se koī raġhbat nahīñ hai muhtasibo

    hakīm ne hameñ tajvīz ye davā hai

    zarā der ko aa.e the shaiḳh idhar lekin

    yahīñ janāb ne maġhrib yahīñ ishā hai

    tumhārā chehra-e-pur-nūr dekhtā huuñ to

    yaqīn nahīñ aatā ki jism ḳhākī hai

    'sha'ūr' ḳhud ko zahīn aadmī samajhte haiñ

    ye sādgī hai to vallāh intihā hai

    hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai

    kabhi buton ki KHushamad kabhi KHuda ki hai

    kisi ko chahne wale yahi to karte hain

    baDa kamal kiya hai agar wafa ki hai

    guzar-basar hai hamari faqat qana'at par

    nasib ne yahi rozi hamein 'ata ki hai

    tamam raat paDi thi guzarne ke liye

    chunanche KHatm surahi zara zara ki hai

    sharab se koi raghbat nahin hai muhtasibo

    hakim ne hamein tajwiz ye dawa ki hai

    zara si der ko aae the shaiKH idhar lekin

    yahin janab ne maghrib yahin isha ki hai

    tumhaara chehra-e-pur-nur dekhta hun to

    yaqin hi nahin aata ki jism KHaki hai

    'sha'ur' KHud ko zahin aadmi samajhte hain

    ye sadgi hai to wallah intiha ki hai

    Source :
    • Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 94)
    • Author : Anwar Shaoor
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now