Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti

Maqsood Anwar Maqsood

haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti

Maqsood Anwar Maqsood

MORE BYMaqsood Anwar Maqsood

    hayā ik hasīñ chādar agar taanī nahīñ hotī

    tumhārī sub.h raushan raat nūrānī nahīñ hotī

    unheñ hargiz nahīñ miltī kabhī bhī ishq daulat

    vo jin se zindagī meñ dost nādānī nahīñ hotī

    hamārī laaj rakh zindagī bhuul ne varna

    hamārī ishq duniyā meñ sultānī nahīñ hotī

    diloñ ko toḌne vaalo baḌhā kar dūriyāñ dekho

    mohabbat fāsle rakh kar bhī begānī nahīñ hotī

    mohabbat kis galī meñ raqs kartī kis pe itrātī

    agar lailā kisī majnūñ dīvānī nahīñ hotī

    qadam tapte hue sahrāoñ pe rakkhā hai majnūñ ne

    tabhī to ishq duniyā meñ vīrānī nahīñ hotī

    kahāñ se akbar-e-āzam ke gulshan meñ bahār aatī

    agar chunarī vo jodhā.bā.ī dhānī nahīñ hotī

    furūī ishq ne 'maqsūd' rusvā kar diyā hotā

    buzurgoñ nasīhat ne jo maanī nahīñ hotī

    haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti

    tumhaari subh raushan raat nurani nahin hoti

    unhen hargiz nahin milti kabhi bhi ishq ki daulat

    wo jin se zindagi mein dost nadani nahin hoti

    hamari laj rakh li zindagi ki bhul ne warna

    hamari ishq ki duniya mein sultani nahin hoti

    dilon ko toDne walo baDha kar duriyan dekho

    mohabbat fasle rakh kar bhi begani nahin hoti

    mohabbat kis gali mein raqs karti kis pe itraati

    agar laila kisi majnun ki diwani nahin hoti

    qadam tapte hue sahraon pe rakkha hai majnun ne

    tabhi to ishq ki duniya mein virani nahin hoti

    kahan se akbar-e-azam ke gulshan mein bahaar aati

    agar chunari wo jodhabai ki dhani nahin hoti

    furui ishq ne 'maqsud' ruswa kar diya hota

    buzurgon ki nasihat tu ne jo mani nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now