hazar bar dikhai gai pari-surat
hazār baar dikhā.ī ga.ī parī-sūrat
nigāh ko na tashaffī huī kisī sūrat
maiñ apne aap se uktā ke tere paas aayā
tirī nazar meñ milī phir mujhe mirī sūrat
isī umiid pe sāñsoñ se jang jaarī hai
kabhī to rū-barū hogī mire tirī sūrat
hisār-e-zāt se niklā to ye khulā mujh par
bhalī ke bhes meñ pinhāñ thī kyā burī sūrat
ḳhatā mu'āf ki hai mo'tarif tirā 'hāmid'
tire 'alāva bachī hī nahīñ koī sūrat
hazar bar dikhai gai pari-surat
nigah ko na tashaffi hui kisi surat
main apne aap se ukta ke tere pas aaya
teri nazar mein mili phir mujhe meri surat
isi umid pe sanson se jang jari hai
kabhi to ru-baru hogi mere teri surat
hisar-e-zat se nikla to ye khula mujh par
bhali ke bhes mein pinhan thi kya buri surat
KHata mu'af ki hai mo'tarif tera 'hamid'
tere 'alawa bachi hi nahin koi surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.