Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka

Shad Azimabadi

hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    hazār haif chhuTā saath ham-nashīnoñ

    makāñ to hai pe Thikānā nahīñ makīnoñ

    khilā jo baaġh meñ ġhuncha sitāra-dār khilā

    guloñ ne naqsh utārā hai mah-jabīnoñ

    hai apnī apnī tabī.at pe husn-e-shai mauqūf

    maiñ kyuuñ huuñ banda-e-be-dām un hasīnoñ

    nazar kyā hai bharosa nazar pe haiñ parde

    ḳhayāl arsh pe jaatā hai dūr-bīnoñ

    zamīn-e-shor ho ho zamīn-e-sher ai dil

    nahīñ hai koī ḳharīdār in zamīnoñ

    bahisht-e-dahr hai apnā vatan ḳhudā qasam

    judā judā hai tarāna sabhī mahīnoñ

    kisī ko maan liyā dil ne jab to maan liyā

    na daḳhl do yahī maslak hai ḳhush-yaqīnoñ

    jo ho musavvir-e-fitrat misāl kyā us

    gumāñ na chāhiye insāñ pe ābgīnoñ

    zarā nikal ke to duniyā se dekh ai insāñ

    patā na din na andāz hai mahīnoñ

    sikhā diyā mujhe bach bach ke rāsta chalnā

    ḳhudā bhalā kare ai 'shād' nukta-chīnoñ

    hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka

    makan to hai pe Thikana nahin makinon ka

    khila jo bagh mein ghuncha sitara-dar khila

    gulon ne naqsh utara hai mah-jabinon ka

    hai apni apni tabiat pe husn-e-shai mauquf

    main kyun hun banda-e-be-dam un hasinon ka

    nazar ka kya hai bharosa nazar pe hain parde

    KHayal arsh pe jata hai dur-binon ka

    zamin-e-shor ho ya ho zamin-e-sher ai dil

    nahin hai koi KHaridar in zaminon ka

    bahisht-e-dahr hai apna watan KHuda ki qasam

    juda juda hai tarana sabhi mahinon ka

    kisi ko man liya dil ne jab to man liya

    na daKHl do yahi maslak hai KHush-yaqinon ka

    jo ho musawwir-e-fitrat misal kya us ki

    guman na chahiye insan pe aabginon ka

    zara nikal ke to duniya se dekh ai insan

    pata na din ka na andaz hai mahinon ka

    sikha diya mujhe bach bach ke rasta chalna

    KHuda bhala kare ai 'shad' nukta-chinon ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now