Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi

Maya Khanna Raje Barelvi

hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi

Maya Khanna Raje Barelvi

MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi

    hazār maslahat-e-vaqt saath saath rahī

    junūñ ke sāmne baazī ḳhirad maat rahī

    jahāñ bhī maiñ ne imārat ehtirām kiyā

    vahīñ pe ruuTh ke mujh se mirī hayāt rahī

    tirī nigāh-e-karam par yaqīn kyā aayā

    fareb-e-husn meñ ye saarī kā.enāt rahī

    vo ik kalī ne chaTak kar chaman ko samjhā

    jo bāt-chīt sitāroñ se saarī raat rahī

    ḳhirad ne laakh dikhā.īñ vafā tasvīreñ

    mirī nigāh magar jānib-e-furāt rahī

    vo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehrāb

    ġharaz ki ho ke mohabbat vārdāt rahī

    ye apne apne samajhne farq hai 'rāje'

    kahāñ nigāh-e-karam nazr-e-iltifāt rahī

    hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi

    junun ke samne bazi KHirad ki mat rahi

    jahan bhi main ne imarat ka ehtiram kiya

    wahin pe ruTh ke mujh se meri hayat rahi

    teri nigah-e-karam par yaqin kya aaya

    fareb-e-husn mein ye sari kaenat rahi

    wo ek kali ne chaTak kar chaman ko samjha di

    jo baat-chit sitaron se sari raat rahi

    KHirad ne lakh dikhain wafa ki taswiren

    meri nigah magar jaanib-e-furaat rahi

    wo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehrab

    gharaz ki ho ke mohabbat ki wardat rahi

    ye apne apne samajhne ka farq hai 'raje'

    kahan nigah-e-karam nazr-e-iltifat rahi

    Source:

    Sulagte Phool Dhalakte Aansu (Pg. 82)

    • Author: Maya Khanna Raje Barelvi
      • Publisher: Rajeev Prakashan U.P
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now