hazar qaid-e-jawan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

hazar qaid-e-jawan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
hazār qaid-e-javāñ se chhuT kar bahār kā aasrā kareñge
bahār bhī ham qafas-zadoñ ko na raas aa.ī to kyā kareñge
ab aur is ke sivā na hogī qafas meñ taskīn-e-dil kī sūrat
chaman kī jānib nazar uThā kar kabhī kabhī hañs liyā kareñge
ye kyā ḳhabar thī ki shām-e-furqat mire liye sāzgār hogī
vo māh-o-anjum kī aaḌ le kar mire fasāne sunā kareñge
nigāh kī bandisheñ salāmat junūñ kī pābandiyāñ musallam
kahīñ bharam khul gayā to ai dil maiñ kyā karūñgā vo kyā kareñge
ye dekhnā hai ki ba.ad-e-tark-e-ta.alluqāt ai 'shakīl' kab tak
na koī ham par jafā karegā na ham kisī se vafā kareñge
hazar qaid-e-jawan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
bahaar bhi hum qafas-zadon ko na ras aai to kya karenge
ab aur is ke siwa na hogi qafas mein taskin-e-dil ki surat
chaman ki jaanib nazar uTha kar kabhi kabhi hans liya karenge
ye kya KHabar thi ki sham-e-furqat mere liye sazgar hogi
wo mah-o-anjum ki aaD le kar mere fasane suna karenge
nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam
kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga wo kya karenge
ye dekhna hai ki baad-e-tark-e-talluqat ai 'shakil' kab tak
na koi hum par jafa karega na hum kisi se wafa karenge
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 718)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.