aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

Shakeel Badayuni

hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    hazār qaid-e-ḳhizāñ se chhuT kar bahār aasrā kareñge

    bahār bhī ham-qafas-zadoñ ko na raas aa.ī to kyā kareñge

    ab aur us ke sivā na hogī qafas meñ taskīn-e-dil sūrat

    chaman jānib nazar uThā kar kabhī kabhī hans liyā kareñge

    ye kyā ḳhabar thī ki shām-e-furqat mire liye sāzgār hogī

    vo māh-o-anjum aaḌ le kar mire fasāne sunā kareñge

    hamāre mashrab meñ thī na jaa.ez dar-e-haram ye jubba-sā.ī

    ye farz-e-nā-ḳhushgavār lekin ab un ḳhātir adā kareñge

    nigāh bandisheñ salāmat junūñ pābandiyāñ musallam

    kahīñ bharam khul gayā to ai dil maiñ kyā karūñgā vo kyā kareñge

    ye dekhnā hai ki ba.ad tark-e-ta.alluqāt ai 'shakīl' kab tak

    na koī ham par jafā karegā na ham kisī se vafā kareñge

    hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

    bahaar bhi ham-qafas-zadon ko na ras aai to kya karenge

    ab aur us ke siwa na hogi qafas mein taskin-e-dil ki surat

    chaman ki jaanib nazar uTha kar kabhi kabhi hans liya karenge

    ye kya KHabar thi ki sham-e-furqat mere liye sazgar hogi

    wo mah-o-anjum ki aaD le kar mere fasane suna karenge

    hamare mashrab mein thi na jaez dar-e-haram ki ye jubba-sai

    ye farz-e-na-KHushgawar lekin ab un ki KHatir ada karenge

    nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam

    kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga wo kya karenge

    ye dekhna hai ki baad tark-e-talluqat ai 'shakil' kab tak

    na koi hum par jafa karega na hum kisi se wafa karenge

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 283)

    • Author: Shakiil Badaayuuni
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now